Wednesday, March 31, 2010

Na manzil aayi na khatam hui ye raahen..


Dhoop mein jhulasti hui raahonpe tapkar kadam chale
Ek baar aasamaan ki ore rukh karke sapnonse bhari aankhen manzil ki ore phir badhe
Khogayi hawaaomein dil se umadkar aahen
Na manzil aayi na khatam hui ye berehem raahen


In dhundli raahonpe chale aur chalte gaye
Do raahpe jaane aake kab khade hum hue
Mude to kis taraf mude, nazar na aaye kuch, is kashmakash ko leke mayoos hoke chale
Saath hamare chalrahe the sisakthe hue hazaar saaye
Na manzil aayi na khatam hui ye berehem raahen


Aandhiyomein kaapti hui raahonpe chali simatke baahen
Sang pattonke armaan bhi bikharke ude
Un armaanonko sametnekeliye kum pade baahe
Tinke ti tarha udalegayi khaabonko hawayen
Na manzil aayi na khatam hui ye berehem raahen

Darbadar ghoomterahe palchin
Kya sochke manzil ki ore niklethe kya hua lekin
Tamannaonke boj liye is jahaan se vida leke chale
Na manzil aayi na khatam hui ye berehem raahen

Na manzil aayi na khatam hui ye raahen...

No comments:

Post a Comment